rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
BLOGS
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
garima singh
Categories
Poetry
Love
What is an RSS feed?
RSS Feed 
gracious17.rediffiland.com/  
Friday 5 December, 2008
 14:14 | 6/Jun/2008 |  1 Comment(s)
  Add garima singh as Friend     Write to garima singh     Forward this link
GALIB

Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta

Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
KÄħH

Koi to hota

 

_________________________________________________________________

us ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,
Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,
Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,
Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai,
janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,
Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,
Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,
Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,
Os ke bina sab khushiyan Wase Ajab si lagti hain,
Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai

 

_______________________________________________________________________

Teri yaad mein hum roye,
tujhe aankhon mein leke soye,
aankh khuhli jab subah humari,
tu samne tha pyaar banke khada.

Ye sach hai ya hai khwaab,
tu hai vaha,ya hai mera aina,
jo tha meri har dhadkan mein,
kyo aaj hai, vo mujhse hi khafa.

Kya kami thi mere pyaar mein,
kya bhool ki thi mere pyaar ne,
jise dil se laga ke khuda bana lia,
akhir kaise vo mujhe hi bhool gaya.

Kya mein uske kaabil hi nahi thi,
ya jyaada pyaare the vo log usse,
jin hone usse mujhse chura liya,
mujhse chura ke apna bana liya.

Lekin tu rahega humesha meri yadon mein,
ye dil tadpega har pal ane ko teri baahon mein,
per samay ke sath shayad sambhal jaungi mein bhi,
tujhe bhul na pai toh, haalaat ke sath badal jaunga mein bhi.

Category: Poetry | Permalink